Saturday, February 8, 2020

THE NIGHT

# THE NIGHT #

The night is silent
And it should be,
To get a new refreshment.

After all the mess,
All the thing we don't do for self.

That silence gives you the time
To mess with yourself,
To decide,to judge yourself.

To make yourself believe you can do
The things you left last day.

And lastly after gaining the stability
The sleep you get to make whole soul in peace.

I think the mind also should not work,
Not even dream,

The night should be a state of complete yourself,
within inside insight.
         
         ©shubh

BHAROSA MERA


# BHAROSA MERA #


Jo jaha hai wo whi hai,
Bs kuch log Shi mayne me sath hai,
Jo aaj thore se alag thalag hai....

Wo baat bhi nhi krte,
Is dar se ki khi wo ruk na jaye,
Khi wo chhut na jaye....

Pr unhe ye bhi pta hai,
Hm sath hai aur,
Ye kaafi hai.....

Aaa jao sath me sahte,
Jo bhi hai,
Chhoti hai ya bari hai....

Kr lnge aasaan,
De denge imtihaan,
Bs sath to do jeewan me....

           ©shubh

WAQT

# WAQT #


KAL PHIR VO RAAT AAI,
BHUT KUCH SATH BHI LAAI.

PAR WO NHI JISKI JARURAT SABSE JYADA THI,
SAB KUCH TO WAHI THI,BAS TARIKH BADLI THI.


PHIR DUSRO KI OR DEKHA,SOCHA AUR SAMJHA.


UMMID TO KAAFI HAIN,BAS NAJARIYA BADALNA THA.
THORA CHALE THE,PAR ABHI BAHUT CHALNA THA.

MANZIL JO DHUNDHLI SI PAR GAI THI,AB SAAF HAIN.
KUCH CHHUT SA GYA THA,PAR AB SATH HAIN.

ASHA AUR VISHWASH KI THORI KMI THI,
JO AB AUR URJA KE SATH AAI HAI,
AUR AGAR THORI KMI RAH BHI GAI,

TO KUCH SATHI BHI HAIN,JINKI TAAKAT PURI HAI.
USE JHUKANE ME AUR MUJHE UTHANE ME,
SAFAL BNANE ME.

JINDAGI AAM INSAN KI

#JINDAGI AAM INSAAN KI#


KAHTE HAIN N KI JINDAGI BHUT KHUBSURAT HAIN,
KHUBSURAT ITNI KI BHATA HI NHI,
SAYAD BHAYEGA PAR KAB YE PTA NHI.
AUR JAB PTA CHALE,
US WAQT KOI SATH HI N HO JISKE SATH BITAYA JA SKE.

AADHI UMRA TO BEET GAI AUR
BHAYA SIRF BACHPAN,
AUR BACHPAN BHI AISA JO BARE HOTE HI KHO SI GAI.

JO DOST THE VE KHA GYE AB SIRF
UNKA "PTA HAI PTA"
SOCHTE KABHI SATH HONGE TO JIYENGE WO BACHPAN,
SOCHENGE VO KARAN JISNE HAME DOST BANAYA,
AUR BAHUT DER BAAD YE PTA CHALA KI KOI KARAN HI NHI THA.

PHIR SATH PARIVAR BHI TO HAIN,
JO SAYAD AB SAB YHI HAIN,
JINE KA KARAN,HASNE KA SADHAN AUR ANT KA SATH,
SAB YAHI BAS YHI HAIN,JINDAGI AAM INSAAN KI.

SIKAYATEIN

Aisa kyu Iagta hme ki jo qarib hai Unme utni hi uljhane hai,  Nhi chahte hue bhi usme ulajhna Kya ye hmari hi kami hai. Par Mujhe ye taqat I...